Asiya  Abdul Raoof
Quiz by , created more than 1 year ago

Brief interpretation of the QURAN

81
0
0
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
Close

DAUR-E-QURAN juz 7

Question 1 of 12

1

Q1. Nabi (s.a.w.s) ke zimma :-

Select one of the following:

  • Hidaayat dena hai

  • Amal karwana hai

  • Pahoncha dena hai

Explanation

Question 2 of 12

1

Q2. Mushrikeen ke butoon (eg.idols) ko bura bhala kehna :-

Select one of the following:

  • Zaruri hai take wo unse bezar ho

  • Mana hai

  • Koi harj nahi

Explanation

Question 3 of 12

1

Q3. Baaz log Allah ka taqarub hasil karne ke liye apne upar beja pabandiya lagalete hai. Is tarah wo :-

Select one of the following:

  • Hallal ko haram qarar dete hai

  • Haram ko hallal qarar dete hai

  • Haram ko haram qarar dete hai

Explanation

Question 4 of 12

1

Q4. Jinko haqq ki talab hoti hai, Allah unko :-

Select one of the following:

  • Dunya mein mushkilaat se mehfuz rakhta hai

  • Haqq ka rasta dikhata hai

  • Dono jawab durust hai

Explanation

Question 5 of 12

1

Q5. Ibrahim (a.s) ki haqq ki jostajo (search) ka samr is tarah diya Allah ne :-

Select one of the following:

  • Unke walid ko hidaayat di

  • Unki qaum ko hidaayat di

  • Unki nasloon mein nubuwat ata ki

Explanation

Question 6 of 12

1

Q6. Yaksu (focused) ka matlab hai :-

Select one of the following:

  • Allah ki taraf mutawaja (attentive) rehna

  • Allah ki ina'amaat ka mustahiq hona

  • Hikmat se kam lena

Explanation

Question 7 of 12

1

Q7. Quran ki khaas baat hai ke :-

Select one of the following:

  • Pichli kitabon ka inkaar karta hai

  • Pichli kitabon ki tasdeeq karta hai

  • Pichli kitabon ke ahkaamaat ko mansoq karta hai

Explanation

Question 8 of 12

1

Q8. Allah ki aayat ka mazaq udaya jaraha ho toh :-

Select one of the following:

  • Kisi bhi tarah logon ko chup karwaya jae

  • Inse behais ki jae

  • Wahan se uth jana chahiye

Explanation

Question 9 of 12

1

Q9. Allah ke "qanoon-e-istedraaj" ka matlab hai ke :-

Select one of the following:

  • Allah ki nafarmanion ke bawajud ina'amaat ki barish hona

  • Tauba ki tawfeeq milna

  • Gunahon par pakad liye jana

Explanation

Question 10 of 12

1

Q10. Mushkil ke waqt mushrikeen kisko pukarte the ?

Select one of the following:

  • Allah ko

  • Apne butoon (eg.idols) ko

  • Apne sardaron ko

Explanation

Question 11 of 12

1

Q11. Hume usol diya gaya hai. "jis cheez ki badi miqdaar haram hai uski ma'amuli miqdaar _______________ hai":-

Select one of the following:

  • Haram

  • Hallal

  • Makrooh

Explanation

Question 12 of 12

1

Q12. Hadith mein aaya hai jisne kabatullah ki qasm khai usne kya kiya ?

Select one of the following:

  • Shirk

  • Gunah

  • Ghalat

Explanation