Asiya  Abdul Raoof
Quiz by , created more than 1 year ago

Brief interpretation of the QURAN

115
0
0
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
Close

DAUR-E-QURAN juz 10

Question 1 of 12

1

Q1. Maidan-e-jang mein kabirah gunah kya hai ?

Select one of the following:

  • Apna giroh chodkar dusre musalman giroh ke sath ja milna

  • Peet pher kar baghjana

  • Jangi hikmat ke taur par dushman ko dokha dena

Explanation

Question 2 of 12

1

Q2. Mushkil ke waqt agar momin sabr kare aur Allah se qareeb hojae toh samjh lena chahiye ke yeh :-

Select one of the following:

  • Azmaish hai

  • Azaab hai

  • Amal ka natija hai (consequences of deeds)

Explanation

Question 3 of 12

1

Q3. Masjid ki khidmat ka koi ajr hasil na hoga. Agar :-

Select one of the following:

  • Imaan billah aur imaan bilaakhirat na ho

  • Amal na ho

  • Dono cheezon ka na hona

Explanation

Question 4 of 12

1

Q4. Surah At-Taubah mein mushrikeen ko Makkah mein rehne ki mohlat :-

Select one of the following:

  • Khatam kardi gai hai

  • Char mahine ki di gai

  • Mohlat ke sath sath mohaide (treaties) bhi khatam kar diye gae hai

Explanation

Question 5 of 12

1

Q5. Surah At-Taubah aayat 5 mein aaya hai ke “mushrikon ko jahan pao qatal karo” yeh hukum :-

Select one of the following:

  • A'aam hai

  • Makkah ke un mushrikon ke liye hai jo Makkah chodna chahte the

  • Maidan-e-jang ke liye hai

Explanation

Question 6 of 12

1

Q6. Wo tax jo ghair muslim apni jaan wa maal ki hifazat ke badle islami hokumat ko ada karte hai, kya kehlata hai :-

Select one of the following:

  • Jizya

  • Fidya

  • Qisaas

Explanation

Question 7 of 12

1

Q7. Kanz se murad kya hai ?

Select one of the following:

  • Momin ka jaiz maal

  • Wo maal jispar wajib zakaat na nikali gai ho

  • Nisaab se kam maal jispar zakaat wajib nahi

Explanation

Question 8 of 12

1

Q8. Munafiqeen ne Jang-e-Tabuk ke mauqe par kis tarah ka rawaiya ikhtiyar kiya ?

Select one of the following:

  • Musalaman ke hausle buland kar rahe the

  • Nabi (s.a.w.s) ko rokne ki koshish kar rahe the

  • Kud shirkat na karne ke bahane bana rahe the

Explanation

Question 9 of 12

1

Q9. Isayion ne apne ulama ki :-

Select one of the following:

  • Baqaida ibaadat ki

  • Haram halal ka malik samjha

  • Kabhi ibaadat nahi ki

Explanation

Question 10 of 12

1

Q10. Surah At-Taubah aayat 71 mein koun ek dusre ki maddad karte hai ?

Select one of the following:

  • Momin mard

  • Momin aurtey

  • Momin mard aur momin aurtey

Explanation

Question 11 of 12

1

Q11. Allah ki rah mein kaam karne se ji churana kis cheez ki a’alaamat hai ?

Select one of the following:

  • Kaheli

  • Susti

  • Nifaaq

Explanation

Question 12 of 12

1

Q12. Aaj agar hum deen ki rah mein apna waqt aur salaiyat na lagaye toh uska kya nuqsaan hoga ?

Select one of the following:

  • Dil par mohr laga di jae gi

  • Baat samjhne ki salaiyat cheen li jae gi

  • Dono jawabat durust hai

Explanation