Asiya  Abdul Raoof
Quiz by , created more than 1 year ago

Brief interpretation of the QURAN

169
0
0
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
Close

DAUR-E-QURAN juz 8

Question 1 of 15

1

Q1. Hadith ka mafhum hai ke "jisne Allah ki khatir mohabbat ki, Allah ki khatir bugz rakha, Allah ki khatir diya aur Allah hi ki khatir rohk diya. Isne apna deen :-

Select one of the following:

  • Mukammal kiya

  • Islam ko chuna

  • Bacha liya

Explanation

Question 2 of 15

1

Q2. Islami ma'ashre ke qayam hone se hum ____________________________ se bach sakte hai.

Select one of the following:

  • Beja rasm wa riwaj ki pabandiyo

  • Allah ki nafarmani se

  • Dono jawabat durust hai

Explanation

Question 3 of 15

1

Q3. “Zukhruf Alqauli Ghurura” se murad hai :-

Select one of the following:

  • Wo tamam chaley aur tadbiren shaitan aur uske sathi jo awaam ke dil mein dalte hai

  • Aqwali zarey (quotes)

  • Sone se bhi qimti batein

Explanation

Question 4 of 15

1

Q4. Majority is authority :-

Select one of the following:

  • Dunyawi usool hai

  • Deeni aur dunyawi usool hai

  • Deeni usool hai

Explanation

Question 5 of 15

1

Q5. Allah jis ke sath bhalai ka irada karta hai usey :-

Select one of the following:

  • Khula rizq aata farmata hai

  • Auladi narina aata karta hai

  • Deen ki samjh aata karta hai

Explanation

Question 6 of 15

1

Q6. EK neeki ke badle das neekion ka ajr hai. Ek burai ka badla :-

Select one of the following:

  • Ek hi hai

  • Das buraiyon ke barabar hai

  • Dugna (double) hai

Explanation

Question 7 of 15

1

Q7. Aurat shaitan ki alakar (helper) hai yeh soch kis mein pai jati hai ?

Select one of the following:

  • Islam mein

  • Isaiyon mein

  • Hinduism mein

Explanation

Question 8 of 15

1

Q8. Jis tarah luha nazil kiya gaya, usi tarah Allah ne ______________nazil kiya. Shaitan ka pehla waar bhi usi ke khilaaf tha.

Select one of the following:

  • Lisaan (zabaan)

  • Libaas

  • Khuraak

Explanation

Question 9 of 15

1

Q9. Islam mein libaas ka taqaza hai ke libaas satir ho, maheen (transparent) na ho aur chust (fitted) na ho.

Select one of the following:

  • Zamane ke sath shrayat badl jati hai

  • Ghalat

  • Sahi

Explanation

Question 10 of 15

1

Q10. Jisne takabur ke sath libaas pehna qayamat ke din usko kis cheez ka libaas pehnaya jayga ?

Select one of the following:

  • Lohe ka

  • Khardar jhadion ka

  • Aag ka

Explanation

Question 11 of 15

1

Q11. Namaz ke liye :-

Select one of the following:

  • Zeenat akhtiyaar karo

  • Allah ke darbar mein hazri ke liye kisi ahtemaam ki zarurat nahi

  • Saaf sutra libaas ho chahe phata purana ho

Explanation

Question 12 of 15

1

Q12. Mushrikeen kehte the 'agar Allah ko manzoor hota toh hum shirk na karte'. Is tarah keh kar woh :-

Select one of the following:

  • Amal na karne ke bahane bana rahe the

  • Shaitan ki rawish par chal rahe the

  • Dono jawabat durust hai

Explanation

Question 13 of 15

1

Q13. Hadith ke mutabiq “qabr mein khoobsurat sathi ki shakl mein aayega aur qayamat mein sifarish karega”

Select one of the following:

  • Namaz

  • Roza

  • Quran

Explanation

Question 14 of 15

1

Q14. Gaur-o-fikar ki dawat aur aqaid ki islah ka mazmun zyada tar :-

Select one of the following:

  • Makki surton mein ayaa hai

  • Madni surton mein ayaa hai

  • Ahadith mein ayaa hai

Explanation

Question 15 of 15

1

Q15. Fasal ki zakaat kab farz hoti hai ?

Select one of the following:

  • Saal guzarne par

  • Har nai paidawaar par

  • Barish hone par

Explanation