Asiya  Abdul Raoof
Quiz by , created more than 1 year ago

Brief interpretation of the QURAN

82
0
0
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
Close

DAUR-E-QURAN juz 15

Question 1 of 14

1

Q1. Meraj ke safar ke bare mein sahih aqeeda kya hai ?

Select one of the following:

  • Ye safar ruh ka tha

  • Masjid-e-Aqsa tak jism ka phir agae ruh ka safar tha

  • Pura safar jism aur ruh ke sath tha

Explanation

Question 2 of 14

1

Q2. Insaan shar mangta hai jis tarah khair mangna chahiye. Is se insaan ki kis fitrat ka pata chalta hai ?

Select one of the following:

  • Insaan hasid hai

  • Insaan gussa karta hai

  • Insaan jald baaz hai

Explanation

Question 3 of 14

1

Q3. Shaitan ke bhai koun hai ?

Select one of the following:

  • Fuzool karch

  • Kanjoos

  • Bakhil

Explanation

Question 4 of 14

1

Q4. Allah ne apni ibaddat ke baad dusra hukum kya diya ?

Select one of the following:

  • Namaz qaim karo

  • Maa baab ke sath ehsaan karo

  • Hajj karo

Explanation

Question 5 of 14

1

Q5. Agar insaan ko rabb ki rehmat ke khazano ka malik bana diya jae toh kya hoga ?

Select one of the following:

  • Saara ka saara ek waqt mein karch kar deta

  • Khatm hojane ke kauf se karch hi nahi karta

  • Gair mustahaiq ko deta

Explanation

Question 6 of 14

1

Q6. Hadith se kis surah ka jumuah ke din padhna masnoon sabith hai ?

Select one of the following:

  • Surah Al-Kahf

  • Surah Al-Jumuah

  • Surah Yaseen

Explanation

Question 7 of 14

1

Q7. Surah Al-Kahf ke shuru ki das aayat ko yaad karne aur padhne ka kya faida hoga ?

Select one of the following:

  • Aapas ke ikhtelafaat se mehfuz rahe ga

  • Fitne dajjal se mehfuz rahe ga

  • Rizq faragh kar diya jae ga

Explanation

Question 8 of 14

1

Q8. Nawjawaan gh’aar (cave) mein kyun chup gae the ?

Select one of the following:

  • Badshah aur mushrik qaum ke dar se apna deen bachane ke liye

  • Ghalti se gh’aar mein phaas gae the

  • Aish-o-aaram ki zindagi se bezaar hogae the

Explanation

Question 9 of 14

1

Q9. Gh’aar walon ka qisse sunane ka kya maqsad hai ?

Select one of the following:

  • Unke gh’aar ke paas masjid banai jae

  • Allah ka wada sacha hai aur qayamat aakar rahe gi

  • Tahqeeq ki jae ke wo kitne the

Explanation

Question 10 of 14

1

Q10. Baa’gh walon ke qisse mein humare liye kya sabq hai ?

Select one of the following:

  • Ni’amat par ghurur na kare

  • Mehnat se har cheez hasil hosakti hai

  • Apni cheez ka muqabila dusron ki cheez se kare take apni cheez ko behtar bana sake

Explanation

Question 11 of 14

1

Q11. Musa (a.s) sabr kyun na kar pae ?

Select one of the following:

  • Ilm ke liye betaab the

  • Jald baaz the

  • Jis cheez ka unhe ilm na tha uspar sabr mushkil tha

Explanation

Question 12 of 14

1

Q12. Kidhr (a.s) ke milne ki jagh ki kya nishani thi ?

Select one of the following:

  • Badi si khashti dikhai degi

  • Jahan neend ajae gi

  • Machli darya mein apna raasta legi

Explanation

Question 13 of 14

1

Q13. Kasrat-e-sawaal :-

Select one of the following:

  • Ilm ka zariya hai

  • Mana’a hai

  • Pasandida hai

Explanation

Question 14 of 14

1

Q14. Musa (a.s) ka Khidr (a.s) se milne ke liye lamba safar kis baat ki a’alamat hai ?

Select one of the following:

  • Safar ka shooq

  • Ilm ka shooq

  • Shagird ki tarbiyat

Explanation