Asiya  Abdul Raoof
Quiz by , created more than 1 year ago

Brief interpretation of the QURAN

99
0
0
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
Close

DAUR-E-QURAN juz 18

Question 1 of 14

1

Q1. Khushu ka m’ana kya hai ?

Select one of the following:

  • Jhuk jana - dab jana - ajizi

  • Yaksu (concentration)

  • Dono jawabat durust hai

Explanation

Question 2 of 14

1

Q2. Laghw se kya murad hai ?

Select one of the following:

  • Aisi baat ya kaam jiska koi deeni faida na ho

  • Aisi baat ya kaam jiska koi dunyawi faida na ho

  • Aisi baat ya kaam jiska koi deeni aur dunyawi faida na ho

Explanation

Question 3 of 14

1

Q3. Surah Al-Muminoon ki ibteda mein falah pane wale muminoon ke :-

Select one of the following:

  • Kuch naam bataye gae hai

  • Sifat batai gyi hai

  • In’amaat bataye gae hai

Explanation

Question 4 of 14

1

Q4. Kis ka tail saaln ke taur par istemal kiya jata hai ?

Select one of the following:

  • Zaitoon

  • Sarson

  • Suraj mukhi

Explanation

Question 5 of 14

1

Q5. Allah pani ko kis tarah asmaan se barsata hai ?

Select one of the following:

  • Be hisaab

  • Sahih andaze se

  • Zameen mein pani ke tehrne ki gunjaish ke mutabiq

Explanation

Question 6 of 14

1

Q6. Muashre ko berah aur fahashi se bachane ke liye ahkamaat kis surah mein nazil huwe hai ?

Select one of the following:

  • Surah Al-Muminoon

  • Surah Al-Furqaan

  • Surah Al-Noor

Explanation

Question 7 of 14

1

Q7. Jo log paak daman aurton par zina ki tuhmat lagae aur char gawah na pesh kar sake toh unki saza kya hai ?

Select one of the following:

  • Kisi kode se mara jae

  • Aainda inki gawahi qubool na ki jaegi

  • Dono sazaen mile gi

Explanation

Question 8 of 14

1

Q8. “Ifkh” ke mauzo (suitable) m’ane kya hai ?

Select one of the following:

  • Jhoot

  • Bhutaan

  • Haqeeqat se ulat (opposite) baat kehna

Explanation

Question 9 of 14

1

Q9. Allah ne waqie ifkh mein Aysha (r.a) ki baraat kis tarah ki ?

Select one of the following:

  • Khufiya wahi ke zariye

  • Nabi (s.a.w.s) ka dil mutmain karke

  • Quran mein aayat nazil farmai

Explanation

Question 10 of 14

1

Q10. Dusron ke ghar mein jane ke liye ijazat zaruri hai. Apne ghar mein ane ka kya hukum hai ?

Select one of the following:

  • Ijazat leni zaruri hai

  • Ijazat ki koi zarurat nahi

  • Ghar walon ke aaram ke awqaat mein unke gharon mein ane ki ijazat leni hogi

Explanation

Question 11 of 14

1

Q11. Khimaar (odhni) ka maqsad kya hai ?

Select one of the following:

  • Zeenat badhana

  • Zeenat chipana

  • Aurton ke libaas ka hissa hai

Explanation

Question 12 of 14

1

Q12. Aaj kal ke design wale burqon ko khimaar :-

Select one of the following:

  • Kaha jasakta hai

  • Nahi kaha jasakta hai

  • Burqe ka kala hona zaruri hai

Explanation

Question 13 of 14

1

Q13. Jahiliyat ki odhni (khimaar) ke bare mein aap kya samjhte hai ?

Select one of the following:

  • Zeenat ko badhate the

  • Seeno ko nahi dhaka jata tha

  • Dono jawabat durust hai

Explanation

Question 14 of 14

1

Q14. Kufr ki misaal samandar ki kis cheez se di gai hai ?

Select one of the following:

  • Andheron

  • Gehraion

  • Khamoshion

Explanation