DAUR-E-QURAN juz 20

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
56
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Hazrat Shoaib ki beti ne Musa (a.s) ko kaam kaaj par muqarar karne ka mashwara diya. Kyun ?
Answer
  • Wo qawi aur amanatdar the
  • Wo nabi the
  • Wo beghar the unko naukri ki zarurat thi

Question 2

Question
Q2. Hazrat Shoaib ki beti ki kya khoobi nazr ati hai ?
Answer
  • Sharm wa haya wali
  • Zaheen
  • Dono khoobiya thi

Question 3

Question
Q3. Hazrat Shoaib ne Musa (a.s) aur apni beti ke liye kya mehr muqarar kiya ?
Answer
  • 100 dinar
  • Kuch zewarat
  • 8 saal tak Musa (a.s) ka unki khidmat karna

Question 4

Question
Q4. Kamzor tareen ghar makdhi ka hai. Kis shaks ki misaal makdhi se di gai hai ?
Answer
  • Mushrik
  • Gunahgaar
  • Biddati

Question 5

Question
Q5. Ye lafz kisne ghurur aur takabur mein akar kehne laga ke “mere liye ek pakka mehl tayyar karo mein Musa ke m’abud ko jhank kar dekho”
Answer
  • Firaun
  • Qaroon
  • Hamaan

Question 6

Question
Q6. Surah Al-Qassas mein sub se zyada bhatka huwa kis ko kaha gaya hai ?
Answer
  • Baat bebaat jhagadne wala
  • Khawishat-e-nafs ki perwi mein pada huwa
  • Behais karne wala

Question 7

Question
Q7. Naik log naiki se badi ko badl dete hai. Kis tarah ?
Answer
  • Achi baat batate hai
  • Apne saath burai karne walon ko maaf kar dete hai
  • Buri baat se rokhte hai

Question 8

Question
Q8. Allah anbiya ko kahan maboos karte hai ?
Answer
  • Markazi ilaqon mein
  • Dur daraz ilaqon mein (rural areas)
  • Hidayat yafta basti mein

Question 9

Question
Q9. Jab bastion wale aish-o-ishrat mein padh jate hai toh Allah unko tabah kar deta hai. Dunya wale unki tabahi ki kya wajah batate hai ?
Answer
  • Mausami asraat aur zameeni tabdiliya
  • Allah ki nafarmani
  • Dono jawabat durust hai

Question 10

Question
Q10. Qaroon koun tha ?
Answer
  • Firauni
  • Israeli
  • Qibti

Question 11

Question
Q11. Allah ne imaan walon ke liye dunya mein kya rakha hai ?
Answer
  • Sukoon
  • Azmaish
  • Har tarah ki ni'amat

Question 12

Question
Q12. Maa baab jab shirk ki taraf bulae toh kya karna chahiye ?
Answer
  • Unka hukum manna farz hai
  • Unka hukum na mana jae
  • Unse jhagda kiya jae

Question 13

Question
Q13. Aaj musalman kud deen ka mazaq udhate hai. Jannat dozak par lateefe banate hai. Mushrikeen-e-Makkah kehte the tum apna aabayi deen na chodo hum ________________________:-
Answer
  • Tumhe maala maal karde ge
  • Tumhe sazaein deyge
  • Akhirat mein tumhara bhoj utha leyge

Question 14

Question
Q14. Qaroon ko khush qismat tareen kis ne samjha ?
Answer
  • Khud Qaroon ne
  • Dunyawi zindagi ko chahne walon ne
  • Uske khandan walon ne
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof