NAMAZ KE MASAEEL {TEST-4}

Description

The fundamentals of PRAYER
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof over 8 years ago
3223
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Allah (s.w.t) ne kis cheez ki qasm kha kar farmaya ke :- "Jo shaks waqt par namaz ada karega mein usko Jannat mein dakhil karonga"
Answer
  • Asmaano
  • Farishton
  • Apni izzat wa jallal

Question 2

Question
Q2. Sahaba Ikhram aksar kehte the ke "Allah aur uska rasool zyada jante hai". Ye kis baat ki alamat (symbol) hai ?
Answer
  • La-ilmi
  • Ta'zeem wa takreem (respect)
  • Dono options durust hai

Question 3

Question
Q3. Namaz-e-Zuhr ka awwal waqt kya hai ?
Answer
  • Jab suraj nisf-un-nahar par ho
  • Saya qad ke barabar hojae
  • Saya dugna hojae

Question 4

Question
Q4. Fazeelat ka waqt ____________________ waqt hai ?
Answer
  • Awwal
  • Ikhtiyaari
  • Jawazi

Question 5

Question
Q5. Jab suraj ayn tuluh ho raha ho, buland ho raha ho ya ghuroob ho raha ho toh :-
Answer
  • Namaz na padhi jae
  • Mayyat na dafnai jae
  • Dono jawabat durust hai

Question 6

Question
Q6. Asmaan par jab surkhi khatam hojae, (suraj dhalne ke baad) ye kis namaz ka waqt hai ?
Answer
  • Isha ka awwal waqt
  • Maghrib ka awwal waqt
  • Isha ka akhiri waqt

Question 7

Question
Q7. Jibreel (a.s) ne Nabi (s.a.w.s) ko do mutawatir din, kis waqt par namaze padhai?
Answer
  • Namazon ke awwal waqt par
  • Namazon ke akhiri waqt par
  • Dono jawabat durust hai

Question 8

Question
Q8. Namaz-e-Asr ka akhiri waqt kya hai ?
Answer
  • Saya qad ke barabar hojae
  • Saya dugna hojae
  • Suraj dhal jae

Question 9

Question
Q9. Jawazi waqt __________________ waqt hai.
Answer
  • Jaiz
  • Na pasandida
  • Dono jawabat durust hai

Question 10

Question
Q10. Safr mein jama' taqdeem aur jama' takheer (do namazon ko milana) ki jasakti hai.
Answer
  • Fajr aur Zuhr ko milaya jae
  • Zuhr aur Asr ko milaya jae
  • Asr aur Maghrib ko milaya jae

Question 11

Question
Q11. Khawab mein azaan ka tareeqa kin sahaba ikhraam (r.a) ne dekha ?
Answer
  • Abdullah bin Zaid (r.a) & Umar (r.a)
  • Abu Bakr Siddique (r.a) & Umar (r.a)
  • Othman (r.a) & Abu Bakr Siddique (r.a)

Question 12

Question
Q12. Azaan ka lughvi ma'na kya hai ?
Answer
  • Khabardar karna
  • Khubsurat awaaz
  • Pur asar pukar

Question 13

Question
Q13. Khawab mein azaan ka tareeqa bataya jana kya zahir (show) karta hai ?
Answer
  • Aksar ahkamaat khawab mein nazil huwe
  • Azaan Allah ki taraf se hai
  • Dono jawabat durust hai

Question 14

Question
Q14. Qayamat ke din, kin logon ki gardane unchi hogi jo unko numaya kar rahi hogi ?
Answer
  • Muazin
  • Imaam
  • Namazi

Question 15

Question
Q15. Shaitan kis ki awaaz sunkar peet pher kar bhaag jata hai ?
Answer
  • Azaan
  • Iqamat
  • Azaan aur iqamat

Question 16

Question
Q16. Azaan se pehle durood padhna kaisa hai ?
Answer
  • Masnoon a'mal hai
  • Sunnat se sabit hai
  • Sunnat se sabit nahi hai

Question 17

Question
Q17. Kis mauqe par Bilal (r.a) ko Nabi (s.a.w.s) ne Kabbat ullah ki chath par chadkar azaan dene ka hokum diya ?
Answer
  • Fateh Makkah
  • Gazwae Badr
  • Bait-e-rizwaan

Question 18

Question
Q18. الصلاة خير من النوم ke alfaaz Fajr ki azaan mein kab shamil kiye gae ?
Answer
  • Umar (r.a) ke daur mein
  • Abu Bakr Siddique (r.a) ke daur mein
  • Nabi (s.a.w.s) ke daur mein

Question 19

Question
Q19. Azaan ka jawab, azaan hi ke alfaaz dohrana hai.
Answer
  • Sahih
  • Bidaat hai
  • Siwae chand kalimaat ke

Question 20

Question
Q20. Apne nafs ko janchne (check) ka behtareen tareeqa ye hai ke hum :-
Answer
  • Azaan ka jawab dete hai ya nahi
  • Azaan se pehle durood padhte hai ya nahi
  • Azaan-e-Fajr sunkar humara rawaiya kya hota hai
Show full summary Hide full summary

Similar

NAMAZ KE MASAEEL {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-5}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-18}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-3}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-7}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-13}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-8}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-10}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-14}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-12}
Asiya Abdul Raoof
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-1}
Asiya Abdul Raoof