Test
NAMAZ KE MASAEEL {TEST-3}
Preguntas del test (20)
1Q1. Bani Israel ko ghulami mein kahan masjid banane ka hukum mila ?
- AHar mohallay mein
- BApne gharon mein
- CBheed bhaad se dur
2Q2. Sub se pehle Taqwa par kis masjid ki bunyad rakhi gai ?
- AMasjid-e-Nabawi
- BMasjid-e-Qiblatain
- CMasjid-e-Quba
3Q3. Jo Allah ki raza ke liye masjid banayga Allah uske liye waisa hi ghar banayga :-
- ADunya mein
- BJannat mein
- CJannat aur dunya dono mein
4Q4. Mohallay mein masjid banai jae, unhe saaf sutra aur ____________ rakha jae.
- AHawa daar
- BKhushbodaar
- CRoshan
5Q5. Masjid mein tijaarat aur kisi cheez ki ghumshudgi ka aylaan kiya jasakta hai.
- ASahih
- BGalat
- CGhumshudgi ka aylaan kiya jasakta hai
6Q6. Hume khubsurat aur manqash (piece of art) masajid ta'amir karne ka hukum mila hai ?
- ASahih
- BGalat
- CMalum nahi
7Q7. Masjid ki safai aur dekh bhaal _______________ hai.
- AFarz
- BSunnat
- CWajib
8Q8. Khubsurat aur phool daar chadr (printed) par namaz padh kar Nabi (s.a.w.s) ne kya mehsus kiya ?
- APasand farmaya
- BPasand na farmaya
- CKhushgawaar
9Q9. Masjid Allah (s.w.t) ki pasandida jaghe hai, jabke badtareen jaghe kya hai ?
- ABazaar
- BKhushi ki mehfile
- CGham ki majlis
10Q10. Kacchi piyaaz aur lehsun (onion & garlic) kha kar masjid mein ane se koi harj nahi ?
- ASahih
- BGalat
- CMalum nahi
11Q11. Tamaam anbiya ke liye zameen ko masjid aur matti ko paak karne wali banaya hai ?
- ASahih
- BAnbiya Bani Israel ko ye sahulat di gai
- CSirf Nabi (s.a.w.s) ke liye khaas hai
1212. Masjid-e-Nabawi mein namaz ka sawab baqi tamaam masajid (except Masjid-e-Haraam) ke muqable mein kitne gunah zyada hai ?
- A100 gunah
- B500 gunah
- C1000 gunah
13Q13. Masjid-e-Haraam, Masjid-e-Nabawi aur Masjid-e-Aqsa ke alawa kisi aur masjid ke liye namaz aur ziyarat ke sawab ki niyaat se safr ikhtiyar karna kaisa hai ?
- ABais ajr hai
- BJaiz nahi hai
- CKoi harj nahi
14Q14. Masjid-e-Quba mein namaz padhne ka sawab kis ke barabar hai ?
- A1000 namazon
- BUmrah
- C50 namazon
15Q15. Qabron par masjid banwane se mana kiya gaya hai.
- ASahih
- BGalat
- CKoi harj nahi
16Q16. Har Jumah ke Jumah qabrastaan jakar waldain ke liye dua karne se unki maghfirat hojati hai ?
- AYe Mauzu hadith hai
- BYe Sahih hadith hai
- CYe Hasan hadith hai
17Q17. Masjid mein dakhil hone aur nikalte waqt ki masnoon duaein hume sikhai gai hai.
- ASahih
- BGalat
- CSirf dakhile ki dua sabit hai
18Q18. Masjid mein hudood bhi nafiz kiye jasakte hai.
- ASahih
- BGalat
- CBaaz halat mein aisa kiya ja sakta hai
19Q19. Azaan ki awaaz masjid mein sunkar baghair namaz padhe nahi nikla ja sakta.
- ASahih
- BGalat
- CKoi harj nahi
20Q20. Masjid ta'amir karwa dena hi kafi nahi. Masjid ki dekh bhal aur ______________________ bhi humari zimedari hai.
- AUnko abaad karna
- BUnka pehra dena
- CDono jawabat durust hai
Información
- Descripción
- The fundamentals of PRAYER
- Autor
- Asiya Abdul Raoof
- Idioma
- English
- Visitas
- 2.454
- Etiquetas
- Valoración
- Aún sin valoraciones Valora este test