DAUR-E-QURAN juz 17

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
89
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Zameen aur asmaan pehle kaise the ?
Answer
  • Door door (distant)
  • Baham jude huwe the (together)
  • Qareeb qareeb (near)

Question 2

Question
Q2. Kuffar-e-Makkah ko kis lafz par aiteraz tha ?
Answer
  • Allah
  • Rahman
  • Nabi

Question 3

Question
Q3. Har zinda cheez ko kis se paida kiya gaya hai ?
Answer
  • Mitti
  • Pani
  • Hawa

Question 4

Question
Q4. Mushrikeen puchte the ke qayamat kab qaim hogi ? kyun ?
Answer
  • Take ache amal kare
  • Qayamat ke qaim hone ka yaqeen na tha
  • Justaju (curiosity) ki wajah se

Question 5

Question
Q5. “Hum zameen ko iske kinare se ghatate jaarahe hai” isse kya murad hai ?
Answer
  • Kufr ka khatma horaha hai
  • Islam pehl raha hai
  • Dono jawabat durust hai

Question 6

Question
Q6. Taurat roshni aur hidayat ka zariya thi. Kin logon ke liye ?
Answer
  • Musa (a.s) ke liye
  • Bani Israel ke anbiya ke liye
  • Tamam muttaqion ke liye

Question 7

Question
Q7. Ibrahim (a.s) ne apni qaum ko samjhane ke liye unke budd tod dale. Ye unki kis khoobi ke taraf ishara hai ?
Answer
  • Firaasat aur hikmat
  • Nubuwat
  • Butparasti (idol worshiper) se nafrat

Question 8

Question
Q8. Kis sahabi ke bare mein Nabi (s.a.w.s) ne farmaya ke unko lehn-e-Dawoodi mein se ek hissa mila hai ?
Answer
  • Abu Musa Ash’ari (r.a)
  • Mu’aaz bin Jabl (r.a)
  • Bilal Habshi (r.a)

Question 9

Question
Q9. Yunus (a.s) ne jo dua machli ke pait mein padhi thi isko sawa lakh dafa padhna kaisa hai ?
Answer
  • Duaon ke qubooliat ke liye behtareen amal hai
  • Masnoon tareeqa hai
  • Biddat hai

Question 10

Question
Q10. Jannat ke liye kam se kam zarurat (minimum requirement) kya hai ?
Answer
  • Amal-e-saleh
  • Imaan
  • Imaan aur Amal-e-saleh

Question 11

Question
Q11. Namaz toh awwal waqt mein afzal hai. Hajj ke bare mein aap kya samjhte hai ?
Answer
  • Jald se jald is farize ko aada kare
  • Apni zimedariya aada karne ke baad hajj kare
  • Maqbool hajj tamam buraion ko mita deta hai isliye budhape mein aada karna behtar hai

Question 12

Question
Q12. Ayyam-e-Nahr mein Allah ko pasandida amal janvaron ka khoon bahana hai. Ye kounse din hai ?
Answer
  • 9,10,11 dhul hijjah
  • 10,11,12 dhul hijjah
  • 11,12,13 dhul hijjah

Question 13

Question
Q13. Surah Al-Hajj ka aghaaz kis baat se kiya gaya hai ?
Answer
  • Qayamat ki haulnaki
  • Jahannam ka azaab
  • Hajj ki farziyat

Question 14

Question
Q14. Kis nabi ki taabe pahad aur parinde the jo un ke sath Allah ki tasbeeh bayan karte the ?
Answer
  • Sulaiman (a.s)
  • Dawood (a.s)
  • Ayyub (a.s)

Question 15

Question
Q15. Sulaiman (a.s) Dawood (a.s) ke bete hai. Khet (jis mein bakriya chr gai thi) ke bare mein kis ka faisla behtar tha ?
Answer
  • Sulaiman (a.s)
  • Dawood (a.s)
  • Dono ne ek hi faisla diya
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof