DAUR-E-QURAN juz 19

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
58
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Surah Al-Furqaan mein mushrikeen ke bahut se ayterazaat ka jawab diya gaya hai. In ayterazaat ka kya maqsad hai ?
Answer
  • Wo manna nahi chahte the
  • Unhe haqq ki talash thi
  • Apni uljhan (confusion) dur karna chahte the

Question 2

Question
Q2. Qaum-e-Nuh ne “rasoloon ko jhutlaya” jama ka sigha kyun istemal kiya gaya hai ?
Answer
  • Qaum ke pass Nuh (a.s) ke alawa aur bhi nabi aye the
  • Ek nabi ko jhutlana tamaam anbiya ko jhutlana hai
  • Nuh (a.s) unko bar bar samjhate rahe

Question 3

Question
Q3. Khawish-e-nafs ko m’abud banane se kya murad hai ?
Answer
  • Apne dil ki manna
  • Allah aur rasool ki aytaat ko pas-e-pushat (keeping aside) dalna
  • Dono jawabat durust hai

Question 4

Question
Q4. Allah ne asmaano, zameen aur unke darmiyan ki sub cheezon ko bade ahtemam se paida kiya. Ismein kitne din lage ?
Answer
  • 9 din
  • 7 din
  • 6 din

Question 5

Question
Q5. Do samandar apas mein milte hai. Ek ka pani kadhwa aur dusre ka pani metha hai. Ye Allah ki qudrat ki badi nishani hai. Kaise ?
Answer
  • Dono milkar pine ke qabil pani banate hai
  • Dono ke beech mein mazbut parda hai
  • Dono mein aabi (ابي) makluq maujood hai

Question 6

Question
Q6. Insaan ki kounsi rishtedarion ka zikr kiya gaya hai ?
Answer
  • Nasbi – maa baab ki taraf se rishtedarion
  • Susrali rishtedariya
  • Nasbi aur susrali dono ka zikr kiya gaya hai

Question 7

Question
Q7. Allah apni nishaniya bata kar bande se kya chahta hai ?
Answer
  • Nasihat hasil kare
  • Shukrguzari kare
  • Nasihat hasil karne ke sath sath shukrguzari bhi kare

Question 8

Question
Q8. Sachi tauba ke baad imaan lane aur naik kaam karne se kya hoga ?
Answer
  • Saghira gunah maaf hojate hai
  • Tamaam gunah maaf hojate hai
  • Gunaho ko nakiyon mein badl diya jata hai

Question 9

Question
Q9. Naik log dua karte hai ke unhe parhezgaron ka peshwa bana. Is se kya murad hai ?
Answer
  • Muttaqi log unki perwi kare
  • Wo muttaqi logon ki perwi kare
  • Muttaqi log unki tareef kare

Question 10

Question
Q10. Sh’are Islam kis sahabi ko kaha jata hai ?
Answer
  • Uthmaan bin Affaan (r.a)
  • Hasaan bin Sabit (r.a)
  • Zaid bin Haritha (r.a)

Question 11

Question
Q11. Firaun gark hone laga toh kehne laga mein Musa (a.s) ke rabb par imaan laya. Ye kaisa imaan tha ?
Answer
  • Dar ki wajah se imaan lana faida nahi deta
  • Maut ko dekh lene ke baad ka imaan qabile qubool nahi
  • Jhoot bol raha tha

Question 12

Question
Q12. Islam mein ghulu aur jhoot se paak sh’ari pasandida hai. Aam taur par sh’ar hazraat kis qism ki sh’ari ko behtarin qarar dete hai ?
Answer
  • Jismein hadd se zyada mubalgha arai ho (exaggeration)
  • Qissa bayan kiya gaya ho
  • Kisi ki tareef bayan ki gai hogi

Question 13

Question
Q13. Kis nabi ne Allah ka ta’aruf is tarah karwaya ke “mere rabb ne mujhe paida kiya aur jab mein bemaar hojata hoon toh mujhe shifa deta hai”
Answer
  • Nuh (a.s)
  • Musa (a.s)
  • Ibrahim (a.s)

Question 14

Question
Q14. Sulaiman (a.s) na sirf khud ko aata ki gai ni’amaton ka shukr ada karte hai, balke ___________________ ko aata karda ni’amaton par bhi shukr guzaar hai.
Answer
  • Apne maa baab
  • Apni aulaad
  • Apni qaum

Question 15

Question
Q15. Malika-e-Saba ka kirdar kaisa dikhai deta hai ?
Answer
  • Sulaiman (a.s) se maroob (impress) hokar imaan lai
  • Use apni saltanat par naaz tha
  • Uske andar ajizi aur khair thi aur wo haqq shinas (recognizer) thi
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof