DAUR-E-QURAN juz 21

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
93
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Koun log namaz padhne ke bawajud burai aur fahshai se nahi bachte ?
Answer
  • Jo namaz ko ek rasm (ritual) ki tarah aada karte hai
  • Jo namaz ke aadab aur sharayit ki papandi nahi karte
  • Dono tarah ke log

Question 2

Question
Q2. Quran hurf ba hurf hifz kar liya jata hai. Iski wajah ye hai ke :-
Answer
  • Ye Quran ka khaas aijaz (quality) hai
  • Hafiz bahut naik log hote hai
  • Ustaad bahut mehnat se hifz karwate hai

Question 3

Question
Q3. Quran mein Quran ko kya kaha gaya hai ?
Answer
  • Rehmat aur nasihat
  • Aajiz karne wala
  • Dono jawabat durust hai

Question 4

Question
Q4. Kafir azaab ko jaldi mangrahe hai. Uske bawajud azaab nahi aaraha. Kyun?
Answer
  • Unmein kuch naik log bhi hai
  • Abhi unke amal aise nahi ke unpar bheja jae
  • Allah ka tareeqa hai ke unko muhlat di jarahi hai

Question 5

Question
Q5. Dunya aakhirat ki kheti hai uske bawajud ise khel tamasha kyun kaha gaya hai ?
Answer
  • Insaan khel kood ka shoqeen hai. Ismein bahut sa waqt zaya kar deta hai
  • Kafiron ka tikana Jahannam hai
  • Ghafil log ismein lagkar asal tikhana aakhirat ko bhul jate hai

Question 6

Question
Q6. Mushrikeen-e-Makkah jab musibat mein phaste toh Allah ko pukarte the. Aaj qabr parst, qabr walon ko pukarte hai. Is tarah kis ka shirk zyada bura hai?
Answer
  • Mushrikeen-e-Makkah ka
  • Qabr parston ka
  • Dono jawabat durust hai

Question 7

Question
Q7. Allah par jhoot bandne se kya murad hai ?
Answer
  • Aisi baat kehna jiska hukum Allah ne nahi diya ho
  • Aisi baat ka inkaar karna jiska Allah ne hukum diya ho
  • Dono jawabat dursut hai

Question 8

Question
Q8. Surah Ar-Room mein Ahle Room ka tazkira hai. Wo log koun the ?
Answer
  • Mushrikeen
  • Isaayi
  • Musalmaan

Question 9

Question
Q9. Sood ko Allah ghatata hai. Kis cheez ko badhata hai ?
Answer
  • Farz zakaat
  • Nafl sadaqaat
  • Har tarah ka infaaq-fi-sabeellilah

Question 10

Question
Q10. Hazrat Luqman ne apne bete ko jo nasihate ki usmein humare liye kya sabaq hai ?
Answer
  • Hum apni aulaad ki tarbiyat achi kare
  • Aulaad se bahut si umeede lagai
  • Tarbiyat-e-aulaad mein auliyat (preference) aakhirat ki kamyabi ko de

Question 11

Question
Q11. Gadhe ki awaaz ko badtar awaaz kaha gaya hai. Kyun ?
Answer
  • Karkhat (stern) awaaz hai
  • Unchi awaaz hai
  • Awaaz mien koi khubsoorti nahi

Question 12

Question
Q12. Islam mein muh bhole bete aur sage bete ke huqooq aik jaise hai ?
Answer
  • Sahih
  • Ghalat
  • Maloom nahi

Question 13

Question
Q13. Hazrat Luqman ko Allah ne kya cheez aata ki thi ?
Answer
  • Hikmat
  • Lambi umr
  • Ghaib ka ilm

Question 14

Question
Q14. Matti se insaan ko banaya gaya hai. Is se kya murad hai ?
Answer
  • Adam (a.s) ki takleeq mathi se hui thi
  • Insaan jo khata hai mathi ki paidawar hai
  • Dono jawabat durust hai

Question 15

Question
Q15. Hazrat Luqman ne apne bete ko namaz qaim karne ke alawa aur kya nasihat ki ?
Answer
  • Achai ka hukum dene aur burai se rokne ki
  • Musibat par sabr karne ko kaha
  • Dono ke alawa aur bhi bahut si nasihate ki

Question 16

Question
Q16. Shirk zulmon azeem hai. Is se kya murad hai ?
Answer
  • Allah ki zaat se na umeed hona
  • Allah ka haqq na dena
  • Allah ka haqq kisi aur ko dena
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof