DAUR-E-QURAN juz 22

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
55
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Ummahat-ul-momineen aur musalmaan aurton ko mardon se kis lehje mein baat karne se mana kiya gaya hai ?
Answer
  • Narm aur lachakdar lehje mein
  • Sakht aur sapaat (straight) lehje mein
  • Halaat ke mutabiq lehja akhtiyar kiya jae ga

Question 2

Question
Q2. Ummahat-ul-momineen ko jahiliyat ke banao singhar se mana kiya gaya hai. Tabarruj se kya murad hai ?
Answer
  • Bepardagi, zaib-o-zeenat ka izhar
  • Sada libaas
  • Khushbu ka istemal na karna

Question 3

Question
Q3. Ummahat-ul-momineen ko Allah ki aayaat aur hikmat ki baatein jo unke ghar mein padhi jati hai, yaad rakne ko kaha gaya hai. Hikmat se kya murad hai ?
Answer
  • Nabi (s.a.w.s) ki ahadiths
  • Nabi (s.a.w.s) ki sunnat
  • Dono jawabat durust hai

Question 4

Question
Q4. Ayesha (r.a) kitne ulama ki ustaad thi ?
Answer
  • Taqreeban 80
  • Taqreeban 70
  • Taqreeban 60

Question 5

Question
Q5. Ayesha (r.a) ke alawa koun Ummahat-ul-momineen mein se fiqh ki mahir thi ?
Answer
  • Saudah (r.a)
  • Khadeeja (r.a)
  • Umm-e-Salmah (r.a)

Question 6

Question
Q6. Quran mein kin sahabi ka naam aya hai ?
Answer
  • Ali (r.a)
  • Umar (r.a)
  • Zaid bin Haritha (r.a)

Question 7

Question
Q7. Nabi (s.a.w.s) aur Zainab bint Jahash (r.a) ke nikah se jahiliyat ki aik rasm ka khatma huwa. Wo kya thi ?
Answer
  • Wo log phupi zaat se nikah nahi karte the
  • Wo log muh bhole bete ki mutallaqa (divorced) se nikah nahi karte the
  • Nikah mein bahut dhoom dhaam karte the

Question 8

Question
Q8. Zainab bint Jahash (r.a) aur Nabi (s.a.w.s) ke nikah ki kya khaas baat hai ?
Answer
  • Aap (s.a.w.s) ki phuphi zaat thi
  • Haqq mehr bahut zyada rakha gaya tha
  • Nikah asmaano par padhaya gaya

Question 9

Question
Q9. Kis surah mein Nabi (s.a.w.s) ko “khatem-un-nabieen” kaha gaya hai ?
Answer
  • Surah Saba
  • Surah Yaseen
  • Surah Al-Ahzaab

Question 10

Question
Q10. Dawat mein shirkat ke kya usool batae gae hai ?
Answer
  • Bulaye gye waqt se bahut pehle na jao
  • Khana khane ke baad jald wapas ho jao
  • Dono usoolon par amal karna zaruri hai

Question 11

Question
Q11. Musalmaan aurton ki parda ki chadar ko jalabeeb kaha gaya hai. Ye kis tarah pehni jae gi ?
Answer
  • Badi chadar hogi jis se pura jism dhak jae
  • Chehre par chadar latkai jae
  • Dono jawabat durust hai

Question 12

Question
Q12. Qaum-e-Saba ke waqae se kya sabq milta hai ?
Answer
  • Apni taraqqui par khush hona koi buri baat nahi
  • Zahiri asbaab par bhi nazar rakhni chahiye unhe mazboot band bandhana chahiye tha
  • Na shukri se bache

Question 13

Question
Q13. Sulaiman (a.s) ki wafaat ka jinnat ko ilm na tha. Is se kya pata chalta hai ?
Answer
  • Jinnat ke pass ilm ghaib na tha
  • Jinnat apne kaam mein bahut zyada tawajjuh dete the
  • Sulaiman (a.s) jinnat par bahut sakht control rakte the

Question 14

Question
Q14. Koun se sahabi har aayat ka shaane nuzool jante the ?
Answer
  • Abdullah bin Masood (r.a)
  • Abdullah bin Umar (r.a)
  • Abdullah bin Abbas (r.a)

Question 15

Question
Q15. Dawood (a.s) ko nubuwat aur badshahat aata ki gai thi. Kounsi dhaat (metal) unke liye musakhar ki gai thi ?
Answer
  • Loha
  • Tamba
  • Sona

Question 16

Question
Q16. Surah Fatir mein :-
Answer
  • Bahut se ahkamaat milte hai
  • Bahut si kayinaat ki nishaniya batai gai hai
  • Farishton ka tazkira tafseel se hai
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof