Quiz
ROZON KE MASAEEL {TEST-7}
Perguntas do quiz (15)
1Q1. Rasool (s.a.w.s) ne jis saal wafat pai, us saal kitne din ka itekaaf farmaya ?
- A10
- B15
- C20
2Q2. Itekaaf sunnat-e-muakidah kifaya hai. Kifaya se kya murad hai ?
- AMard aur aurat dono ko ada karna zaruri hai
- BMohalle ya shaher mein chand log karle toh sub ki taraf se ada hojata hai
- CKamaz kam 1/3 musalmano ko karna zaruri hai
3Q3. Itekaaf kab shuru karna masnoon hai ?
- AIsha ki namaz ke baad
- BMaghrib ki namaz ke baad
- CFajr ki namaz ke baad
4Q4. Nafli itekaaf ke liye jitney din maisar ho utne dino ka itekaaf karlena chahiye ?
- AJee haan
- BJee nahi
- CItekaaf 10 din ka hi hota hai
5Q5. Halat-e-itekaaf mein janaze mein shareek huwa jasakta hai ?
- AJee nahi
- BJee haan
- CKoi harj nahi
6Q6. Laylatul Qadr kab talash karni chahiye ?
- A27 Ramadan ki raat ko
- B25-29 Ramadan ki raaton ko
- C21-23-25-26-27-29 Ramadan ki raaton ko
7Q7. Ramadan ke akhiri ashre ko kis tarah guzarna chahiye ?
- ABahut zyada ibaddat karni chahiye
- BAhel wa ayaal ko ibaddat ke liye ubharna chahiye
- CDono jawabat durust hai
8Q8. Laylatul Qadr ki khususi dua Rasool (s.a.w.s) ne kisko sikhai ?
- AAyesha (r.a)
- BSafiya (r.a)
- CKhadeeja (r.a)
9Q9. Mard gharon mein itekaaf karsakte hai ?
- AJee haan
- BKoi harj nahi
- CMasjid hi mein karna chahiye
10Q10. Aakif ko عاكف
- ARoze rakhna zaruri hai
- BRoze rakhna zaruri nahi
- CRoze ki rukhsat hai
11Q11. Sadqa Fitr kis tarah dena afzal hai :-
- ARupyo ki surat mein
- BGhalle ki surat mein
- CPaka kar khane ki surat mein
12Q12. Sadqe Fitr ada karne ka sahih waqt kya hai ?
- AAkhiri roza iftaar karne ke baad
- BEid ke 1 ya 2 din pehle ada kiya jasakta hai
- CDono jawabat durust hai
13Q13. Sadqe Fitr ada karna :-
- AFarz hai
- BSunnat Muakidah hai
- CMustahab hai
14Q14. Sadqe Fitr ka maqsad kya hai ?
- AMuashre mein khush hali phaile
- BRoze mein hone wale gunaho se paak hona
- CDono jawabat durust hai
15Q15. Humare muashre mein Shabe Barat aur Shabe Meraj ko ahmiyat dene ki wajah se :-
- ALaylatul Qadr ki fazeelat mein kami kardi jati hai
- BLaylatul Qadr ki fazeelat badha di jati hai
- CYe dono raate bhi bahut fazeelat wali hai
Informações
- Descrição
- The fundamentals of FASTING
- Autor
- Asiya Abdul Raoof
- Idioma
- English
- Visualizações
- 2.312
- Etiquetas
- Avaliação
- Ainda sem avaliações Avalie este quiz