DAUR-E-QURAN juz 9

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
130
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Hadith rasool (s.a.w.s) mein kis cheez ke bare mein yeh kaha gaya hai ke agar wo kisi ke dil mein rai ke dane ke barabar bhi ho toh wo jannat mein dakhil na hoga.
Answer
  • Hasad
  • Takabbur
  • Kinah

Question 2

Question
Q2. Firaun takabur ke bais imaan na laya, jabke jadugaron mein wo kounsi sifat thi jo unke imaan lane ki wajah bani ?
Answer
  • Aajizi
  • Mahaarat
  • Farmabardari

Question 3

Question
Q3. Harun (a.s) ne Musa (a.s) ko gusse mein paakar kya keh kar mukhatib kiya ?
Answer
  • Aye mere pyare bhai
  • Aye mere maa ke bete
  • Aye mere chote bhai

Question 4

Question
Q4. Koh-e-toor par Allah (s.w.t) ne Musa (a.s) ko bulaya take :-
Answer
  • Wo yaksu hokar ibaadat kare
  • Shrya'at ke ahkaamaat diye jae
  • Allah apni tajlli dikhae

Question 5

Question
Q5. Yaum-al-furqaan kis din ko kehte hai ?
Answer
  • Ghazwa-e-Uhud ka din
  • Ghazwa-e-Badar ka din
  • Ghazwa-e-Khandaq ka din

Question 6

Question
Q6. Anbiya (a.s) ki dawat pur asr hone ki sub se badi wajah kya thi ?
Answer
  • Unki qaum rah-e-raast par thi
  • Unka apni qaum ko jahannum se darana
  • Unki khair khwahi apni qaum ke liye

Question 7

Question
Q7. Aaj humari dawat mein asr nahi. Uski badi wajah kya hai ?
Answer
  • Log sunna nahi chahte
  • Humne deen ko mushkil bana kar pesh kiya hai
  • Aaj ke daur mein deen par amal karna mushkil hogaya hai

Question 8

Question
Q8. Ahed-e-aalast ka kya faida hai ?
Answer
  • Insaan haqq ko pehchan leta hai
  • Insaan ko ashraf-ul-makhluqaat qarar diya gaya
  • Insaan mein dusre insaano ki mohabbat paida hui

Question 9

Question
Q9. Surah anfaal aayat 176 mein zameen ki taraf jhukne se kya murad hai ?
Answer
  • Aajzi karna
  • Dunya ke faide hasil karna
  • Sajda raiz hona

Question 10

Question
Q10. Allah (s.w.t) ke ache naamo se kya murad hai ?
Answer
  • Jis ache naam se uska banda use pukare
  • Zaati naam
  • Sifaati naam

Question 11

Question
Q11. Musalman Allah ke kalime ki sar bulandi ki khatir jang karte hai. Is liye Surah Anfaal mein “maal-e-ghanimat” ko :-
Answer
  • Nafl (extra) kaha gaya
  • Napasandida kaha gaya
  • Ikhatta karna mana kiya gaya

Question 12

Question
Q12. Ghazwa-e-Badar ke mauqae par ki gai yeh dua ke “Ya Allah hum mein se jo tera zyada nafarmaan aur rishton ko kaatne wala hai, kal tu use halak karde” yeh dua qubool ki gai. Yeh dua kisne ki thi ?
Answer
  • Abu Jahal aur quraish ke sardaron ne
  • Musalmano ne
  • Nabi (s.a.w.s) ne
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof