DAUR-E-QURAN juz 24

Description

Brief interpretation of the QURAN
Asiya  Abdul Raoof
Quiz by Asiya Abdul Raoof, updated more than 1 year ago
Asiya  Abdul Raoof
Created by Asiya Abdul Raoof almost 9 years ago
65
0

Resource summary

Question 1

Question
Q1. Kafir aur gunahgaar log kehte hai ke agar Allah mujhe hidayat karta toh mein muttaqi logon mein hota. Unki ye baat kya zahir karti hai ?
Answer
  • Hidayat dene wala Allah hai
  • Amal na karne ka bahana hai
  • Allah jise hidayat de use koi bhi bhatka nahi sakta

Question 2

Question
Q2. Ye samjhna ke mere halat kabhi behtar nahi hosakte, mere gunah maaf nahi hosakte. Ye kya hai ?
Answer
  • Allah ke ghazb se dar
  • Allah ki rehmat se mayusi
  • Apne aap ko gunahgaar samjhna

Question 3

Question
Q3. Un logon ne Allah ki qadr nahi ki jaisa ke uski qadr ka haqq tha. Is se kya murad hai ?
Answer
  • Allah ki ibaadat khalis na ki
  • Nafarmani ki rawish par chale
  • Dono jawabat durust hai

Question 4

Question
Q4. Aayat :- “Allah ki rehmat se mayus na ho” sunkar aik tabaie ne gunaho ko chod kar apne aapko deen ke liye waqf kar diye. Wo koun the ?
Answer
  • Ali bin Asyad
  • Al-Qaseem bin Muhammad
  • Sufiyan bin Alsori

Question 5

Question
Q5. Allah se dua na mangna kis cheez ki alaamat hai ?
Answer
  • Takabbur
  • Tawakul
  • Taqdeer par imaan

Question 6

Question
Q6. Allah ne hume behtaren saakht par banaya. Hum aam taur par kya karte hai ?
Answer
  • Allah ka shukr ada karte hai
  • Ayb talash karte hai
  • Itrate hai

Question 7

Question
Q7. Log kis tarah dozakh ki taraf lae jae ge ?
Answer
  • Aik aik karke
  • Giroh da giroh
  • Do do teen teen ki toliuon mein

Question 8

Question
Q8. Log rasoloon se lambi lambi behais karte. Iska kya maqsad hota tha ?
Answer
  • Haqq ko daba de
  • Haqq samne laya jae
  • Haqq wa batil alag hosake

Question 9

Question
Q9. Maal ki kushadgi aam taur par kis taraf le jati hai ?
Answer
  • Hasad
  • Infaaq
  • Ghaflat

Question 10

Question
Q10. Firaun aur uski qaum par zillat ka azaab kya zahir karta hai ?
Answer
  • Ye azaab unke kibr aur ghurur ka jawab tha
  • Tum kitne bhi bade banjao Allah ko aajiz na kar sako ge
  • Dono jawabat durust hai

Question 11

Question
Q11. Firaun subah shaam aag par pesh kiya jata hai. Isse kya malum hota hai ?
Answer
  • Azaabe qabr bar haqq hai
  • Wo bahut hi zalim log the
  • Allah ki pakad sakht hai

Question 12

Question
Q12. Har baat par haan mein haan milane wala har achi buri baat par sath dene wala kaisa dost hosakta hai ?
Answer
  • Behtareen
  • Acha
  • Bura

Question 13

Question
Q13. Kuffar taliyan bajate aur shor machate the. Kyun ?
Answer
  • Log Quran na sun sake
  • Unka mashghala (hobby) tha
  • Zindagi mein koi maqsad na tha

Question 14

Question
Q14. Islam lane se kafir ko kya faida hasil hota hai ?
Answer
  • Uske pichle gunah maaf kar diye jate hai
  • Uske aynda gunah maaf kar diye jate
  • Dono jawabat durust hai
Show full summary Hide full summary

Similar

Religious Expression
Dhanil Capil
Major World Religions-Islam
Caoimhe O'Connell
AP World History Chapter 7
matthewchand12
DAUR-E-QURAN juz 1
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Fatihah | Word Analysis | Day 1
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 30
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Abasa Quiz
Al Huda Canada
DAUR-E-QURAN juz 12
Asiya Abdul Raoof
Surah al-Naba Quiz
Al Huda Canada
TAFSEER SURAH BAQARAH {TEST-2}
Asiya Abdul Raoof