Quiz
DAUR-E-QURAN juz 16
Erstelle ein kostenloses Konto, um dieses Quiz zu beenden
Speichere deinen Fortschritt und sieh dir dein Endergebnis an.
oder mit deiner E-Mail registrieren
Schon ein Konto? Anmelden
Fragen in diesem Quiz (14)
1Q1. Musa (a.s) aur Khidr (a.s) ke waqiae mein ilm hasil karne ka kounsa aadab wazeh dikhai deta hai ?
- AIlm hasil karne ke liye safar zaruri hai
- BIlm hasil karne ke liye sabar zaruri hai
- CIlm hasil karne ke liye kasrat-e-sawaal kiye jae
2Q2. Asbaab ki perwi se kya murad hai ?
- ANi’amaton ka zikr karna
- BNi’amate paakar khush hona
- CNi’amaton ka br waqt behtareen istemaal karna
3Q3. Zul Qarnain ka kirdaar kaisa dikhai deta hai ?
- AImaan wala, zaheen, farmabrdaar, shukrguzaar
- BInsaan ki bhalai ke kaam karne wale halake momin na tha
- CDur ka safar karne wale take apni hukomat ka dairah badha sake
4Q4. Zul Qarnain ne dewaar banana ke liye qaum se kis qism ki maddad chahi ?
- APaison ka intezaam kar diya jae
- BKaam karne ke liye log agae aye
- CDewaar paakhi karne ke liye tanbe ka intezaam kar diya
5Q5. Science aur technology mein aage badhna zaruri hai. Kis waqie se pata chalta hai ?
- AZul Qarnain ke
- BKidhr (a.s)
- CAshaab Al-Kahf
6Q6. Surah Al-Kahf ka shaan-e-nuzool kya hai ?
- ASabq aamuz waqiat sunana
- BTareekhi waqiat sunana
- CKuffar-e-Makkah ke puche gae sawalon ke jawab dena take Nabi (s.a.w.s) ki nubuwat sabith hojae
7Q7. Isa (a.s) ki paidaish ke bare mein humara kya aqeeda hona chahiye ?
- AAllah ke kalmia “كن” (ho ja) se mu’ajzana taur par bagair baap ke paida huwe
- BBaghair haml ke paida huwe
- CDono jawab durust hai
8Q8. Kis nabi ka naam Allah (s.w.t) ne kud bataya ?
- AIsa (a.s)
- BZakariya (a.s)
- CYahya (a.s)
9Q9. Maryam (a.s) ki sakht azmaish ke baad kya ghair mamuli (unique) ni’amat aata ki ?
- AAulaad ki ni’amat
- BAurton par fazeelat
- CSabar aur shukr ki daulat
10Q10. Surah Ta-Ha ki tilaawat sun kar koun se sahabi imaan lae ?
- AAli (r.a)
- BUmar (r.a)
- CBilaal (r.a)
11Q11. Isa (a.s) ko ghiar ma’muli (extra ordinary) mu’ajzaat diye gae. Isayion ne is ko kis tarah liya ?
- AWo momin aur mutaqi bangae
- BIsa (a.s) ko afzal anbiya qarar diya
- CAllah ka beta keh kar inki ibaddat shuru kardi
12Q12. Mu’ajza dekh kar jadugar imaan lae magar Fir’aun na laya. Ye kis baat ki taraf ishara hai ?
- AFir’aun manna hi na chahta tha
- BFir’aun bada zalim tha
- CJadugar pehle se imaan wale the
13Q13. Iblees ka sajda na karna kis wajah se the ?
- AAllah par yaqeen na tha
- BAakhirat par yaqeen na tha
- CApne aapko Adam (a.s) se behtar samjhne ki wajah se
14Q14. Khashti mein surakh (hole) karne ka kya maqsad tha ?
- AKhashti ko zalim badshah se bachane ke liye
- BKhashti ke malikon ko saza dena
- CAhle-e-khashti ko gunaho ke sabab duba diya jae
Informationen
- Beschreibung
- Brief interpretation of the QURAN
- Autor
- Asiya Abdul Raoof
- Sprache
- English
- Aufrufe
- 117
- Schlagwörter
- Bewertung
- Noch keine Bewertungen Bewerte dieses Quiz