QURANIC GEMS QUIZ 13-14-15

Descripción

TAFSEER AND TRANSLATION OF SELECTED AYAH OF THE HOLY QURAN
Shabana Rupani
Test por Shabana Rupani, actualizado hace más de 1 año
Shabana Rupani
Creado por Shabana Rupani hace más de 4 años
305
0

Resumen del Recurso

Pregunta 1

Pregunta
Q1) Hadith ke mutabiq maut ke baad Qabr mein musalman gawahi deta hai ki "Allah ke siwa koi mabood barhaqq nahi". Iske liye aayat mein kya lafz istemaal hua hai ?
Respuesta
  • Qaul al Maaroof
  • Qaul al Hasanah
  • Qaul as Saabit
  • Qaul as Sadeeda

Pregunta 2

Pregunta
Q2) Hazrat Abu Bakr(RA) ke daur-e-Khilafat mein Quran ko jama karne ke liye kis sahabi ko zimmedar ya head banaya gaya ?
Respuesta
  • Zaid bin Harisah(RA)
  • Zaid bin Saabit(RA)
  • Umamah bin Saabit(RA)
  • Abu Hurairah (RA)

Pregunta 3

Pregunta
Q3) Khajoor ke darakht ki shaakhein aasmaan mein bohot bulandi tak gayi hoti hai...Isse kya muraad hai ?
Respuesta
  • A) Momin ek ke baad ek nekiyaan karta chala jaata hai
  • B) Nekiyaan qubooliyat ka darjah paa leti hain
  • C) Momin se uske ilm ki wajah se log rashk karte hain
  • A and B
  • B and C
  • A and C
  • None of the above

Pregunta 4

Pregunta
Q4) Nabi Akram(SAW) ne khajoor ke darakht ki kya khususiyat batayi hai ?
Respuesta
  • A) Is darakht ke patte nahi girte
  • B) Is darakht ki oonchaai takabbur ki alamat hai
  • C) Is darakht ka phal khatam nahi hota aur har mausam mein phal deta hai
  • D) Munafiqeen ki misaal khajur ke darakht ke jaisi hai
  • A and B
  • B and C
  • A and C

Pregunta 5

Pregunta
Q5) Quran ki maujoodah tarteeb kya hai ?
Respuesta
  • Tauqeefi
  • Ajmali
  • Nuzooli
  • Mahmoodi

Pregunta 6

Pregunta
Q6) Jung-e-Yamamah mein _____ Huffaaz shaheed hue to Tadween-e-Quran ka aaghaz kiya gaya
Respuesta
  • 30
  • 50
  • 70
  • 90

Pregunta 7

Pregunta
Q7) Hazrat Abu Hurairah(RA) ko taqreeban kitni Ahaadith yaad thi ?
Respuesta
  • 2000
  • 3000
  • 4000
  • 5000

Pregunta 8

Pregunta
Q8) Arab mein ek taareekhi jumla mashoor hai ki "Asal ilm wohi hai jo _____________ ho"
Respuesta
  • Seenon mein
  • Likha liya gaya
  • Kitaabon mein
  • Dusron ko sikhaya gaya

Pregunta 9

Pregunta
Q9) Kis Khalifah-e-Rashid ko ye sharf haasil hua ki unhone Ummat ko ek Mushaf aur ek Qiraat per jama kiya ?
Respuesta
  • Abu Bakr(RA)
  • Umar(RA)
  • Uthman(RA)
  • Ali(RA)

Pregunta 10

Pregunta
Q10) Khajoor ke darakht ki jadein mazboot hoti hain...Isse kya murad hai ?
Respuesta
  • Momin ka Iman pukhta hota hai
  • Momin miljulkar rehte hain
  • Momin ka ilm wasee hota hai
  • Momin khushiyaan baanta hai

Pregunta 11

Pregunta
Q11) ____________ ghatta badhta hai
Respuesta
  • Iman
  • Islam
  • Amal-e-saleh
  • Ehsaan

Pregunta 12

Pregunta
Q12) Ek Sahabi ke iman ka ye aalam tha ki unko jalte hue koylon per lita diya jaata taki wo islam se phir jaayein magar wo saabit qadam rahe...unka naam ?
Respuesta
  • Huzaifa bin Yaman(RA)
  • Khabbab bin Arat(RA)
  • Bilal bin Rabah(RA)
  • none of the above

Pregunta 13

Pregunta
Q13) Kin per dakoo ki is baat ka bohot asar hua aur unhone bohot se kitaabein yaad ki "Aise ilm ka kya faayda jo kitaabon mein band hai "?
Respuesta
  • Imam Jawzi (Rh)
  • Muhammad bin Seereen( Rh)
  • Hasan Basri( Rh)
  • Imam Ghazali( Rh)

Pregunta 14

Pregunta
Q14) Jo Surah Al kahf ki pehli 10 Ayat ki tilawat Jumuah ke din karega wo kis cheez se mehfooz rahega ?
Respuesta
  • Fitna-e-Dajjaal
  • Fitna-e-Aulaad
  • Faqr-o-Faqah
  • Qarzdaari

Pregunta 15

Pregunta
Q15) Arab ke mashhoor shaayar ne Islam laane ke baad shayari chod di aur kaha ki" Quran ke baad bhi koi baat baaqi rehti hai?" unka naam bataaein
Respuesta
  • Imru al Qais
  • Labid bin Rabiah
  • Amr ibn Kulthum
  • Adi bin Rabiah

Pregunta 16

Pregunta
Q16) ilm ki aafat se kya muraad hai ?
Respuesta
  • A) Uska bhool jaana
  • B) Dohraane ko chod dena
  • C)Logon ka kasrat se fatwa poochna
  • D) La-shaoor logon ko sikhana
  • A and B
  • B and C
  • A and C
Mostrar resumen completo Ocultar resumen completo

Similar

QURANIC GEMS QUIZ 7-8-9
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ JUZ 1-2-3
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 16-17-18
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 4-5-6
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 10-11-12
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 25-26-27
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 28-29-30
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 22-23-24
Shabana Rupani
QURANIC GEMS QUIZ 19-20-21
Shabana Rupani
Fahm al-Qur'an Juz' 1 Part 1 Quiz
Al Huda Canada
Fahm al-Qur'an Juz' 1 Part 2 Quiz
Al Huda Canada