Quiz
DAUR-E-QURAN juz 1
Fragen in diesem Quiz (12)
1Quran ki tartibi tauqifi kis tarah hui ?
- ASahaba ikram ki bahm razamandi say
- BNabi (s.a.w.s) nay ki
- CAllah (s.w.t) ki batai hui hai
2"الحمد اللة" mein humeshgi ka ma'na hai. Yeh grammar kay aytebar say :-
- AIsm
- BFa'il
- CDono hosaktay hai
3Hadith kay mutabiq "Az - Zahrawain (2 chamaknay wali ) suratain kounsi hai ?
- ASurah Al-Fatiha and Surah Al-Baqarah
- BSurah Al-Baqarah and Surah Al-E-Imran
- CSurah Al-Fatiha and Surah Al-E-Imran
4Ilm ki bunyad par fazilat mili :-
- AInsaan ko jinnat par
- BInsaan ko farishton par
- CFarishton ko insaan par
5Shaitan nay ibaddat aur aytaat mein :-
- AIbaddat ki
- BAytaat ki
- CDono nahi ki
6Surah Al-Baqarah mein kis tarah maddad mangnay ka hokum hai ?
- AGirya guzari karna
- BSabar aur namaz
- CSubah shaam kay azkaar
7Yahud par zillat aur maskant kyun tari hui ?
- ADunya ki masrufiyaat mein hadd say badh gaye
- BBudd parasti
- CLadhai jhagdha
8Yahud kay zawal pazeer honay ki bunyadi wajah kya hai ?
- AMann maani karna
- BDeeni ahkamat na manna
- CHirs wa hawas
9Yahud kis cheez kay haris thay ?
- AMaal wa daulat
- BShuhrat
- CLambi zindagi
10Sulaiman (a.s) par kis cheez ka alzaam lagaya gaya ?
- AKufr
- BJadu
- CQatal
11Nabi (s.a.w.s) kis nabi ki dua hai ?
- AAdam (a.s)
- BIbrahim (a.s)
- CYaqub (a.s)
12Ayaat 132 kay mutabiq Ibrahim (a.s) ki tarah , kis nabi nay apnay bachon ko Allah (s.w.t) ki bandagi ki wasiyat ki ?
- AIsmael (a.s)
- BYaqub (a.s)
- CIshaq (a.s)
Informationen
- Beschreibung
- Brief interpretation of the QURAN
- Autor
- Asiya Abdul Raoof
- Sprache
- English
- Aufrufe
- 573
- Schlagwörter
- Bewertung
- Noch keine Bewertungen Bewerte dieses Quiz