Test
QURANIC GEMS QUIZ 13-14-15
Preguntas del test (16)
1Q1) Hadith ke mutabiq maut ke baad Qabr mein musalman gawahi deta hai ki "Allah ke siwa koi mabood barhaqq nahi". Iske liye aayat mein kya lafz istemaal hua hai ?
- AQaul al Maaroof
- BQaul al Hasanah
- CQaul as Saabit
- DQaul as Sadeeda
2Q2) Hazrat Abu Bakr(RA) ke daur-e-Khilafat mein Quran ko jama karne ke liye kis sahabi ko zimmedar ya head banaya gaya ?
- AZaid bin Harisah(RA)
- BZaid bin Saabit(RA)
- CUmamah bin Saabit(RA)
- DAbu Hurairah (RA)
3Q3) Khajoor ke darakht ki shaakhein aasmaan mein bohot bulandi tak gayi hoti hai...Isse kya muraad hai ?
- AA) Momin ek ke baad ek nekiyaan karta chala jaata hai
- BB) Nekiyaan qubooliyat ka darjah paa leti hain
- CC) Momin se uske ilm ki wajah se log rashk karte hain
- DA and B
- EB and C
- FA and C
- GNone of the above
4Q4) Nabi Akram(SAW) ne khajoor ke darakht ki kya khususiyat batayi hai ?
- AA) Is darakht ke patte nahi girte
- BB) Is darakht ki oonchaai takabbur ki alamat hai
- CC) Is darakht ka phal khatam nahi hota aur har mausam mein phal deta hai
- DD) Munafiqeen ki misaal khajur ke darakht ke jaisi hai
- EA and B
- FB and C
- GA and C
5Q5) Quran ki maujoodah tarteeb kya hai ?
- ATauqeefi
- BAjmali
- CNuzooli
- DMahmoodi
6Q6) Jung-e-Yamamah mein _____ Huffaaz shaheed hue to Tadween-e-Quran ka aaghaz kiya gaya
- A30
- B50
- C70
- D90
7Q7) Hazrat Abu Hurairah(RA) ko taqreeban kitni Ahaadith yaad thi ?
- A2000
- B3000
- C4000
- D5000
8Q8) Arab mein ek taareekhi jumla mashoor hai ki "Asal ilm wohi hai jo _____________ ho"
- ASeenon mein
- BLikha liya gaya
- CKitaabon mein
- DDusron ko sikhaya gaya
9Q9) Kis Khalifah-e-Rashid ko ye sharf haasil hua ki unhone Ummat ko ek Mushaf aur ek Qiraat per jama kiya ?
- AAbu Bakr(RA)
- BUmar(RA)
- CUthman(RA)
- DAli(RA)
10Q10) Khajoor ke darakht ki jadein mazboot hoti hain...Isse kya murad hai ?
- AMomin ka Iman pukhta hota hai
- BMomin miljulkar rehte hain
- CMomin ka ilm wasee hota hai
- DMomin khushiyaan baanta hai
11Q11) ____________ ghatta badhta hai
- AIman
- BIslam
- CAmal-e-saleh
- DEhsaan
12Q12) Ek Sahabi ke iman ka ye aalam tha ki unko jalte hue koylon per lita diya jaata taki wo islam se phir jaayein magar wo saabit qadam rahe...unka naam ?
- AHuzaifa bin Yaman(RA)
- BKhabbab bin Arat(RA)
- CBilal bin Rabah(RA)
- Dnone of the above
13Q13) Kin per dakoo ki is baat ka bohot asar hua aur unhone bohot se kitaabein yaad ki "Aise ilm ka kya faayda jo kitaabon mein band hai "?
- AImam Jawzi (Rh)
- BMuhammad bin Seereen( Rh)
- CHasan Basri( Rh)
- DImam Ghazali( Rh)
14Q14) Jo Surah Al kahf ki pehli 10 Ayat ki tilawat Jumuah ke din karega wo kis cheez se mehfooz rahega ?
- AFitna-e-Dajjaal
- BFitna-e-Aulaad
- CFaqr-o-Faqah
- DQarzdaari
15Q15) Arab ke mashhoor shaayar ne Islam laane ke baad shayari chod di aur kaha ki" Quran ke baad bhi koi baat baaqi rehti hai?" unka naam bataaein
- AImru al Qais
- BLabid bin Rabiah
- CAmr ibn Kulthum
- DAdi bin Rabiah
16Q16) ilm ki aafat se kya muraad hai ?
- AA) Uska bhool jaana
- BB) Dohraane ko chod dena
- CC)Logon ka kasrat se fatwa poochna
- DD) La-shaoor logon ko sikhana
- EA and B
- FB and C
- GA and C
Información
- Descripción
- TAFSEER AND TRANSLATION OF SELECTED AYAH OF THE HOLY QURAN
- Autor
- Shabana Rupani
- Idioma
- English
- Visitas
- 330
- Etiquetas
- Valoración
- Aún sin valoraciones Valora este test