Quiz
Seerah quiz-6
Questions in this quiz (15)
1Q-1: Habsha mein Musalman minority mein hone ki wajah se...
- AApne Deen se na-waqif thay.
- BIslami tahzeeb ko bhool gaye.
- CIslam ki tahzeeb aur ibadat per jame rahe.
2Q-2: Khawateen ke liye Islam mein ijazat di gayi...
- AKisi bhi gair-mehram se baat nahi kar sakte.
- BZarurat ke tahat baat kar sakte hain.
- CHasi-mazaak kar sakte hain
3Q-3: Namaz,roza,Hajj Islam ki tamaam ibadat kya ahsaas dilati hai aur
Habsha mein tamaam musalmano ne Jafar(R.A) ko taqreer ke liye chuna- AMusalman us waqt kamyab ho sakte hain jab kisi aik banner tale jama hon
- BMusalman jama bhi ho wahan sabse pehle kisiko apna Ameer banayega
- CDono jawabaat durust hain.
4Q-4: Hamza (R.A) ko aik kaneez ne Aap (S.A.W) per ho rahe zulm ki taraf mutawajje kiya jo unke liye Islam qubool karne ka baais huwi
- AWo kaneez Abdullah bin Ja'dan ki thi.
- BUmar(R.A) ki kaneez Lubaina thi.
- CUmaiyyah bin khalf ki kaneez thi.
5Q-5: Umar(R.A) Nubuwwat ke kitne saal baad Musalman hue ?
- ANubuwwat ke 7th saal
- BNubuwwat ke 6th saal
- CNubuwwat ke 8th saal
6Q-6: Umar(R.A) ne apni behen ke ghar kaunse Surah ki tilawat suni ?
- ASurah Maryam
- BSurah Haaq'qah
- CSurah Ta'ha
7Q-7: "Umar(R.A) ke qubool-e-Islam ki wajah se Islam ko mazeed quwwat mili aur humne Ka'batullah ke saamne namaz padhi"
- AAbdullah bin masood ne kaha
- BHamza(R.A) ne kaha
- CKhabbab bin Arat(R.A) ne kaha
8Q-8: Wo Sahabiyah jinhe do hijraton ka sawaab hai
- AAsma binte Abu Bakr(R.A)
- BAsma Ansariya(R.A)
- CAsma binte Umais(R.A)
9Q-9: Aap(S.A.W) ne khaas do logon ke liye dua ki unki kin khususiyaat ki bina per ?
- AGehri soojh-boojh
- BBahaduri aur baseerat
- CMushkilaat mein date rehna
- DTeeno jawabaat durust hain
10Q-10: Fiqh ka matlab kya hai ?
- AFatawa kanoon
- BGehri soojh-boojh Baseerat
- CDono jawabaat durust hain
11Q-11: Ghaati mein mehsoor tamaam log...
- AA) Chamda aur patte khane per majboor ho gaye
- BB) Giza ki farawani thi
- CC) kabhi kabhi giza pohonchti thi
- DD) A aur C sahi hai
12Q-12: Shaqqe Qamar (splitting of the moon) ka waqya kab hua ?
- ABoycott se pehle
- BBoycott ke baad
- CHijrate Madinah ke baad
13Q-13: Umar(R.A) ko panaah di
- AAmr bin al Aas ne
- BAas bin waael ne
- CAbdullah bin Amr al Aas ne
14Q-14: Umar(R.A) ne chaha ki unke Islam laane ki khabar Makkah shehar meun phail(spread) jaaye...unhone socha kisko bataya jaaye ?
- AJameel bin muammar Jimhi
- BAbu jahl
- CAbu Lahab
15Q-15: Sahaba ki Seerat padhne se
- AMalumaat mein izafa hota hai
- BQuestions ke answers achche se diye jaa sakte hain
- CIkhlaaq behtar hote hain
Information
- Description
- Understanding the life of the Prophet pbuh
- Author
- Shabana Rupani
- Language
- English
- Views
- 522
- Tags
- Rating
- No ratings yet Rate this quiz